Introduction – CM Punjab Free Solar Panel Scheme
Punjab ki Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ne Roshan Gharana Free Solar Panel Scheme Punjab bhar me launch ki hai. Is scheme ka maqsad low-income families ko free solar systems provide karna hai taake bijli ka bojh kam ho aur sustainable energy ko farogh mile. Punjab Information Technology Board (PITB) ki madad se 100,000 solar systems muft lagaye jaenge.
Table of Contents

Program Overview – CM Punjab Free Solar Panel Scheme
Roshan Gharana scheme un gharon ke liye hai jo June 2024 me 200 units tak ki bijli istemal kar chuke hain aur jinka sanctioned load 2KW tak hai. Eligible families online ya SMS ke zariye apply kar sakti hain aur unko solar panels, inverter aur installation free milegi.
Objectives:
- Low-income families ki financial madad aur bijli bills kam karna: Scheme ka maqsad ye hai ke Punjab ki kam aamadani walay gharon ko free solar system de kar unke bijli ke monthly bills ko khatam ya kam kiya jaye. Is se ye families bijli ke boojh se nijat pa sakein aur apni income ko khanay peenay aur taleem jese zaruri kharchon par laga saken.
- Renewable energy ka farogh aur Punjab ki dependency fossil fuels par kam karna: Is scheme ke zariye Punjab me clean aur renewable energy ka istemal barhaya jayega. Solar panels ki madad se fossil fuels par inhisar kam hoga, environment ki hifazat hogi aur pollution kam hone ke sath sath energy security bhi mazboot hogi, jo sustainable development aur Green Punjab vision ki taraf ek qadam hai.
π Key Benefits – CM Punjab Free Solar Panel Scheme
- β Bijli ke bills me kami: Roshan Gharana scheme ki wajah se gharon ke bijli ke bills ya to mukammal tor par khatam ho jate hain ya bohot kam ho jate hain, jo low-income families ke liye bohot bada relief hai.
- β Load shedding ke doran bhi bijli dastiyab: Solar panels ki wajah se light chali jane par bhi bijli dastiyab rehti hai, jo ghar ke zaruri kaamon ko jaari rakhti hai.
- β Green Punjab vision ko support: Scheme ka maqsad environment ko saaf rakhna aur pollution kam karna hai, jo Green Punjab vision ki taraf ek aham qadam hai.
- β Maintenance kam aur lambi muddat tak faida: Solar systems low maintenance hotay hain aur bohot saalon tak bijli faraham karte rehte hain, jo lambi muddat tak faida detay hain.
- β Gharon ki izzat aur self-dependence barhane ka mauqa: Jab ghar khud apni bijli produce karta hai to ghar walon ki izzat barhti hai aur unhe energy ke liye dosron par depend nahi hona parta, jo self-dependence ki taraf ek qadam hai.
π§Ύ Eligibility Criteria – CM Punjab Free Solar Panel Scheme
- June 2024 me 0β200 units tak bijli ka istemal kiya ho: Yeh scheme un logon ke liye hai jo kam bijli istemal karte hain aur jin par bijli ka bill barhne ka bojh zyada hota hai.
- Sanctioned load 2KW tak ho: Ghar ka bijli ka sanctioned load 2 kilowatt tak hona chahiye taake solar system asani se install ho sake aur system ki efficiency barqarar rahe.
- Meter theek ho aur bijli chori ka case na ho: Ghar ka meter functional aur sahi kaam kar raha ho aur kisi qisam ki bijli chori ya illegal connection na ho.
- Akhri 12 months me 3 se zyada late payments na ki ho: Agar applicant ne pichle 12 maheenon me 3 se zyada baar late payment ki hai to woh is scheme ke liye eligible nahi hoga.
- Ek ghar par ek hi meter ho: Sirf wo ghar eligible hain jahan ek hi bijli ka meter laga ho aur ussi meter par bijli istemal ho rahi ho.
π« Exclusions – CM Punjab Free Solar Panel Scheme
- Multiple meters walay ghar eligible nahi.
- Defective ya tempered meter.
- Bijli chori me mulawis afrad.
- 3 se zyada late payments walay.
π How to Apply – CM Punjab Free Solar Panel Scheme
Option 1: Online Portal:
- Sab se pehle cmsolarscheme.punjab.gov.pk par visit karen.
- Wahan par “Register” par click karen aur form fill karen jisme aapka naam, email address, mobile number, CNIC, password aur captcha aayega.
- Form submit karne ke baad apni email par verification link par click kar ke email confirm karen.
- Uske baad portal par login karen aur apna electricity bill ka Reference Number aur CNIC number dal kar data verify karen.
- Terms accept karen aur “Submit” par click kar ke application complete karen.
Is process ke baad aap apni application ka status portal par login kar ke dekh sakti hain.
Option 2: SMS Registration:
- Format: Apna Reference Number aur CNIC aik sath type karen.
- Example: 1234567890123 3520112345678
- Yeh message send karen 8800 par.
Is ke baad aapko confirmation message ayega jisme aapko bataya jayega ke aap eligible hain ya nahi aur agay ki process ke liye kya karna hoga.
π Application Status & Support – CM Punjab Free Solar Panel Scheme
- Portal par login kar ke status check karen.
- Helpline: 042-99030204
- FAQ section bhi visit karen.
π Important Dates
- Last date: January 5, 2025
- Early registration par phase-wise balloting hogi.
ποΈ Implementation & Monitoring
- Sab se pehle electronic balloting ke zariye transparent tareeqay se eligible applicants ko select kiya jata hai.
- Uske baad team aapke ghar ka physical inspection kar ke meter, usage aur ghar ki position verify karti hai taake installation me koi masla na aaye.
- Verification ke baad professional team aapke ghar me complete solar system install karte hain jisme solar panels, inverter aur zarurat par batteries shamil hoti hain.
- Installation ke baad system ki performance ko regularly monitor kiya jata hai taake sustainability aur efficiency barqarar rahe aur aapko bijli ki uninterrupted supply mil sake.
π Conclusion
Roshan Gharana Free Solar Panel Scheme Punjab ki families ko bijli ke bill se nijat dilane aur green energy ki taraf lane ka behtareen mauqa hai. Agar aap eligible hain to der na karen aur aaj hi apply karen aur Punjab ki energy revolution ka hissa banen.
FAQ’s – CM Punjab Free Solar Panel Scheme
Who is eligible for the Roshan Gharana Solar Panel Scheme?
Sirf wo log jin ka sanctioned load 2KW tak hai aur June 2024 me 0-200 units tak bijli istemal ki hai eligible hain.
What is the last date to apply for the scheme?
Aap 5 January 2025 tak apply kar sakti hain is scheme ke liye.
Is there any registration fee for this scheme?
Nahi, registration aur installation dono muft hain.
What documents are required to apply online?
CNIC, active mobile number, email aur electricity bill ka reference number chahiye hota hai.
How can I check my application status?
Portal par login kar ke aap apni application ka status check kar sakti hain.
Will I get a complete solar system free of cost?
Ji haan, aapko solar panels, inverter aur installation muft milegi.
How will applicants be selected for the scheme?
Eligible applicants ko electronic balloting ke zariye select kiya jata hai.
Can tenants apply for this scheme?
Nahi, sirf property owners hi apply kar sakte hain.
Will I still receive electricity bills after installation?
Aapke bijli ke bills ya to zero ho jayenge ya bohot kam ho jayenge.
Who should I contact for help regarding the scheme?
Aap 042-99030204 par call kar ke maloomat hasil kar sakti hain ya official portal visit karen.
Read More: Aaj kal solar panels Pakistan mein bohat popular ho rahe hain, kyun ke ye affordable aur environment-friendly energy provide karte hain. Lekin aksar logon ko yeh sawal pareshan karta hai keΒ do i need to clean my solar panels? Solar panels ki safai unki performance aur efficiency ke liye bohat zaruri hai. Agar panels gande ya dhool mitti se covered hon to unki energy production significantly kam ho jati hai.